Ye to har koi janta hai, chot lagti hai to dard hota hai.
aur ye bhi sach hai guum chot me zyada dard hota hai.
Guum chot ka matlab, jo chot dikhayi na de par dard ki koi had na ho.
Aisi chot ka ilaaj kafi mushkil hota hai,
dawa kahan lagaye ye bhi pata nahi hota.
Par ek baat to pakki hai, aisi chot pe har koi kehta hai,
"Dard to hota hai bhai, thoda time lagega thik hone me."
Agar ye chot dil pe lagi ho to,
Aatma pe lagi ho to.
Vishwas par lagi ho to.
kya aisi chot thik ho sakti hai?
dard to hoga, kyon ki ise bhi to chot hi kehte hain,
par kya iski koi dawa hai?
"yahan bhi sirf ek jawab hai, time lagega"
Kisi paraye ke gaal par agar thappad maro, to dard hota hai,
samne wale ko gussa bhi aata hai.
marne wale ko bhi khud ke hatho me chot lagti hai.
Aur agar kisi apne, apne se zyada pyare ko maro to,
uske gaal pe chot lagti hai, aur khud ke dil ko,
thappad khan wale ko lagta hai, iski himmat kaise hui.
aur marne wala ko lagta hai, ye din hi kyon aaya.
Dard hota hai, dono ko hota hai...
par ek ki chot nazar aati hai,
aur ek guum chot ke dard se rota hai.
Gaal par agar koi thappad mare, to nishan pad jata hai.
agar dil par mare to, izzat par mare to.
Pyaar aur vishwas ke chere par jab thappad padta hai to koi nishan nahi padta,
bas dard hota hai, had se zyada dard hota hai.
kuch log is dard ko bardashat kar lete hain,
kuch log tut jate hain, aur kuch tut kar fir se judte hain.
lekin unka kya jo baar-baar tutate hain, judne ki koshish karte hain,
judte bhi hain, par sirf dobara tutne k liye.
Unko kitna dard hota hai, is baat ka koi andaza bhi nahi laga sakta,
haan par har koi ye zarur keh sakta hai,
"Dard to hota hai bhai, thoda time lagega thik hone me."
Jab baat pyaar ki hoti hai to duniya me do tarah ke log milte hain,
ek wo, jo pyaar ko sabse khubsurat cheez mante hai,
aur dusre wo, jo hamesha Love hurts ke maala japte hai.
Main ek teesri category ko bhi janta hoon,
ye wo log hain jinki soch badal chuki hai,
in logo ki nazar me pyaar k upar agar koi hota tha to sirf bhagwan.
aur aaj pyaar se bada koi jhooth hai to wo bhi bhagwan.
Aise logo ko galat samjha jata hai, kyon ki wo bhagwan pe vishwas kyon nahi rakhte,
Unhe ye samjhya jata hai ki bhagwan hai, wo kabhi galat nahi karta,
uski har faisle me kuch achcha hota hai.
yahan kuch log fir se bhagwan ke samne sir jhukaten hai,
aur inme se kuch logo ko fir se ek aur thappad milta hai.
Ab to bhawan bhi yehi kehta hai,
"Dard to hota hai bhai, thoda time lagega thik hone me."
Kisi bhi chot ke bare me ek baat pakki hai,
thik hone me time lagta hai, par thik ho jata hai.
Maine is baat se kabhi inkaar nahi kiya.
Magar main ye bhi manta hoon,
agar ek purani chot par baar-baar chot pahuchayi jaye to sharir ka hissa ban jata hai.
Ek aisa hissa jo kabhi bhi thik nahi ho sakta, hamesha dard dega.
Aur aise me insaan apne aap se bhi ek hi baat keh sakta hai,
"Dard to hota hai bhai, thoda time lagega thik hone me."
Aisi baaten sun kar bhi dard hota hai...
Monday, June 2, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment